Aaina Kyun Na Kahon - Mirza Ghalib



Aaina Kyun Na Doon K Tamasha Kahain Jisey
Aisa Kahan Sey Laaoon K Tujh Sa Kahain Jisey

Hasrat Nay La Rakha Teri Bazm_e Khayyal Main
Guldasta_e Nigagh Daweeda Kahain Jisey

Phonka Hay Kis Nay Gosh_e Mohabbat Main Ay Khuda!
Afson_e Intazaar, Tamanna Kahain Jisey

Sar Per Hojoom Rard_e Ghareebi Sey Daaleye
Wo Aik Musht_e Khaak K Sehra Kahain Jisey

Hay Chashm_e Ter Main Hasrat_e Deedar Sey Nihaan
Shouq_e Unaa.n Gaskheeta_e Darya Kahain Jisey

Darkaar Hay Shaguftan Gulhaay Aish Ko
Subhu Bahaar, Panba_e Meena Kahain Jisey

�Ghalib� Bura Na Maan Jo Wa'iz Bura Kahey
Aisa Bhi Koi Hay K Sab Acha Kahain Jisey

CONVERSATION

0 comments:

Post a Comment