Na bhuja chiragh-e-Diyaar-e-dil, Na bicharne ka tu malal kar
Tujhay degi jeene ka hosla, Mere yaad rakh le samhal ka
Ye bhi kya k aik hi shaks ko, kabhi sochna kabhi bhoolna
Jo na bujh sake wo diya jala, Jo na hosake wo kamaal kar
Gham-e-Aarzu mere justuju, main simat k aagaya rubaru
Ye sakoot-e-marg hai kis lye, main jawab don tu sawaal kar
Tu bichar raha hai to soch le, tera sath hai mere zindgai
Tujhay rokna mere maut hai, mere bebasi ka khayal kar
Ye jo ek saat-e-wasl hai, sar-e-saat-e-zehan jami hue
Issi ek saat-e-wasl ko kabhi maah kar kabhi saal kar
Mere dard ka, mere zabt ka, mere bebasi, mere sabar ka
Jo yaqeen na aaye to dekh le, tu hawa main phool uchaal kar
Tere sarhado pe main kyun rukon, mujhay rok mat mujhay jane de
Mere saari umer safar ki hai, mujhay is qadar na nidhaal kar
Jo khushi mile, wo kabool kar, mujhay chor de mujhay bhool ja
Main hon �Jazib�-e-sitam aashna, tu bas apne ghar ka khayal kar
0 comments:
Post a Comment