Ay Dil-e-Betaab Tehar By Faiz Ahmed Faiz


Ay Dil-e-Betaab Tehar

Teergi hai k umandti hi chali aati hai
Shab ki rag tag se lahoo photo raha ho jese
Chal rahi hai k kuch is andaaz se nabz-e-hasti
Dono aalam ka nasha toot raha ho jese
Raat ka garam lahuu or bhi beh jaane do
Yehi tareeki to hai ghaza-e-rukhsaar-e-sehar
Subha hone hi ko hai ay dil-e-betaab tehar
Abhi zanjeer jhanakti hai pas-e-parda saaz
Mutlaq ulhukum hai shiraza-e-asbaab abhi
Sagar-e-naab main aanso bhi dhalak jaate hain
Laghzish-e-paa main hai pabandi-e-aadaab abhi
Apne diwanon ko diwana to ban lene do
Apne mekhanon ko mekhana to ban lene do
Jald ye satoot asbaab bhi uth jaye gi
Ye giranbaazi-e-aadaab bhi uth jaye gi
Khuah zanjeer chanakti hi, chanakti hi rahe

CONVERSATION

0 comments:

Post a Comment